Wednesday, July 20, 2011

ghadi ki yeh band suyiaan...

ghadi ki yeh band suyiaan jaane kya keh jaati hai
har pal mujhe jaise jeene ka ehsaas dilati hai...

second ki suyi har pal mujhe yeh samjhaati hai
jo baar baar koshish kar ke wapas wahin ruk si jaati hai...

jab waqt ka ehsaas hota hai
toh bas ghante aur minute ki suyi ka hi saath hota hai...

aksar inhi par hum sab gaur farmaate hain
second ki suyi ko nazar andaaz kar jaate hain...

baaki suyiaan toh bilkul hi tham jaati hai
ek second hi hai jo baar baar ek kadam toh badhati hai...

band ghadi ko dekha toh yeh samajh aaya
yeh waqt toh hai bas iss second ki kaaya...

chalti suyion ne bas yahi sikhaya hai mujhe
waqt guzar jaane ka ek darr sa dikhaya hai mujhe...

waqt thamta nahi kabhi..bas guzar jaata hai
in suyion ko dekho toh yeh nazar aata hai...

kaash yeh darr main apne dil se nikaal fenku
ek baar band suyion ke saath waqt guzaar kar dekhun...

aaj jab mujhe waqt ka kuch hosh nahi
aisa lagta hai jaise ab main khamosh nahi...

band suyion ne aaj mujhe hai yeh samjhaya
second ki suyi ne har pal jeene ka ek ehsaas dilaya...

Saturday, June 4, 2011

kuch likh daalun...


aaj kalam uthayi hai toh mann karta hai kuch likh daalun
in safed pannon ko iss syaahi se rang daalun...

jaane kis rang se rangna chaahta hai yeh kaagaz ka tukda
laal hari kaali ya neeli,
jee karta hai koi ek rang iss kalam mein bhar daalun...


ghoorta raha ghanton bhar in sheeshiyon ko
uljhan hai inmein se kis ek ko chun daalun...

neela ho ya hara ho..ya fir chaahe ho kaala
hain toh saare ek rang hi...

iss kore kagaz ko hi dekho
hai toh yeh bhi ek rang mein sana hua...

aaj jaana safed bhi ek rang hota hai
dil ne kaha, aap sab se ye keh daalun...

aaj kalam uthayi hai toh mann karta hai kuch likh daalun
in safed pannon ko in saare rangon se rang daalun...

Thursday, March 17, 2011

ehsaas...

ek adhoori si kavita likhi thi
jise poori karne ki ek aas hai...

ek anjaan sa chehra dikha tha
jiski mujhe talaash hai...

zindagi toh ruk si gayi hai kahin
jo chal rahi woh bas saans hai...

mujhko is tarah se mat dekho duniyawaalon
yeh toh chalti firti ek laash hai...

Monday, January 17, 2011

sab kuch theek sa rehta...

Jo ittefaq se tum na mil jaate toh sab kuch theek sa rehta
Woh pehal tum na kar paate toh sab kuch theek sa rehta
Na jaane kab se cheezein zehan mein dabaye main baitha tha
Woh baatein tum baahar nikaal na paate toh sab kuch theek sa rehta...

Roz tumhe dekhta tha chhup chhup ke nigaahon se
Wo tumhari nazrein na mujhse takraati toh sab kuch theek sa rehta

Jaana toh tha tumhe ek din bahut duur mujhse
Kaash mujhse ek baar milke chale jaate toh sab kuch theek sa rehta...

Tumse baat karne ki khwahish hi kaafi thi ek mere liye
Raat bhar isi tamanna mein yun na jagaate toh sab kuch theek sa rehta
Woh lafz aaj bhi goonjte hain mere kaano mein
Unhe sun-ne ko yun na tarsaate toh sab kuch theek sa rehta...


Ek saal baad aaye tum jab kuch dino ke liye
Intezar mein meri dhadkan yun na badhate toh sab kuch theek sa rehta
Chand palon ke liye tumne ki jo baatein mujhse
Do pal aur theher jaate toh sab kuch theek sa rehta...

Jo ittefaq se tum na mil jaate toh sab kuch theek sa rehta
Woh pehal tum na kar paate toh sab kuch theek sa rehta
Na jaane kab se cheezein zehan mein dabaye main baitha tha
Woh baatein tum baahar nikaal na paate toh sab kuch theek sa rehta...

Friday, January 14, 2011

JD on the Rocks !!!

One evening, was playing for so long
a gal came upto me looking for her song
asked her to give me sometime
and there she left with a glass of wine
all alone sitting in a corner
sipping her drink to make herself bit warmer


Lost in herself , she was looking betrayed
Last Christmas the very next song I played
She turned and gave me a glance
beats were different with a hint of trance


I was waiting for her all this while
and she left with a secret smile
that evening I played her song twice
and I kept her promise with no price
She used to call me DJ
but m hardly the Don Juan she was waiting for
I used to call her JD
forget Jack Daniels, she takes me high even more

Went there one evening after so long
M no more there playing any song
She still comes but the guy is different
plays Last Christmas, like a trend

Days ve gone and time has changed
Like spirits together in a blend
Today in the pub DJ ain't the same
but still JD on the rocks s evident !!!