Monday, January 17, 2011

sab kuch theek sa rehta...

Jo ittefaq se tum na mil jaate toh sab kuch theek sa rehta
Woh pehal tum na kar paate toh sab kuch theek sa rehta
Na jaane kab se cheezein zehan mein dabaye main baitha tha
Woh baatein tum baahar nikaal na paate toh sab kuch theek sa rehta...

Roz tumhe dekhta tha chhup chhup ke nigaahon se
Wo tumhari nazrein na mujhse takraati toh sab kuch theek sa rehta

Jaana toh tha tumhe ek din bahut duur mujhse
Kaash mujhse ek baar milke chale jaate toh sab kuch theek sa rehta...

Tumse baat karne ki khwahish hi kaafi thi ek mere liye
Raat bhar isi tamanna mein yun na jagaate toh sab kuch theek sa rehta
Woh lafz aaj bhi goonjte hain mere kaano mein
Unhe sun-ne ko yun na tarsaate toh sab kuch theek sa rehta...

Ek saal baad aaye tum jab kuch dino ke liye
Intezar mein meri dhadkan yun na badhate toh sab kuch theek sa rehta
Chand palon ke liye tumne ki jo baatein mujhse
Do pal aur theher jaate toh sab kuch theek sa rehta...

4 comments: