Wednesday, July 20, 2011

ghadi ki yeh band suyiaan...

ghadi ki yeh band suyiaan jaane kya keh jaati hai
har pal mujhe jaise jeene ka ehsaas dilati hai...

second ki suyi har pal mujhe yeh samjhaati hai
jo baar baar koshish kar ke wapas wahin ruk si jaati hai...

jab waqt ka ehsaas hota hai
toh bas ghante aur minute ki suyi ka hi saath hota hai...

aksar inhi par hum sab gaur farmaate hain
second ki suyi ko nazar andaaz kar jaate hain...

baaki suyiaan toh bilkul hi tham jaati hai
ek second hi hai jo baar baar ek kadam toh badhati hai...

band ghadi ko dekha toh yeh samajh aaya
yeh waqt toh hai bas iss second ki kaaya...

chalti suyion ne bas yahi sikhaya hai mujhe
waqt guzar jaane ka ek darr sa dikhaya hai mujhe...

waqt thamta nahi kabhi..bas guzar jaata hai
in suyion ko dekho toh yeh nazar aata hai...

kaash yeh darr main apne dil se nikaal fenku
ek baar band suyion ke saath waqt guzaar kar dekhun...

aaj jab mujhe waqt ka kuch hosh nahi
aisa lagta hai jaise ab main khamosh nahi...

band suyion ne aaj mujhe hai yeh samjhaya
second ki suyi ne har pal jeene ka ek ehsaas dilaya...